dil apna aab-ju-e-haqaeq ke pas hai
dil apnā āb-jū-e-haqā.eq ke paas hai
mahrūm kyoñ azal se mire fan kī pyaas hai
har lamha apnā rang badaltā hai ye jahāñ
ab vaqt ko bhī dekhiye mauqa.a-shanās hai
mere yaqīñ ke rāste tārīk haiñ bahut
ik azm kā charāġh magar apne paas hai
kahne lage ho mujh ko hī nang-e-vajūd kyoñ
dekho to saarā shahr hī ab be-libās hai
jo shīsha-e-yaqīñ ko bhī yak-laḳht toḌ de
yāroñ ke haath meñ vahī sang-e-qayās hai
shāyad anokhā hādisa guzrā hai raat ko
sūraj kā chehra sub.h se kitnā udaas hai
dil apna aab-ju-e-haqaeq ke pas hai
mahrum kyon azal se mere fan ki pyas hai
har lamha apna rang badalta hai ye jahan
ab waqt ko bhi dekhiye mauqa-shanas hai
mere yaqin ke raste tarik hain bahut
ek azm ka charagh magar apne pas hai
kahne lage ho mujh ko hi nang-e-wajud kyon
dekho to sara shahr hi ab be-libas hai
jo shisha-e-yaqin ko bhi yak-laKHt toD de
yaron ke hath mein wahi sang-e-qayas hai
shayad anokha hadisa guzra hai raat ko
suraj ka chehra subh se kitna udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.