dil apna yaad-e-yar se begana to nahin
dil apnā yād-e-yār se begāna to nahīñ
goyā ki ḳhālī mai se ye paimāna to nahīñ
mantā hai merī baat to nazreñ milā ke sun
ye merā hāl-e-zār hai afsāna to nahīñ
hañste ho mil ke duniyā se kyā mere haal par
maiñ aap kā dīvāna huuñ dīvāna to nahīñ
ai sham.a tujh ko jalnā hai ab us kī aag meñ
ik sho.ala tujh se lipTā hai parvāna to nahīñ
dānista mujh se jaatā hai ġhairoñ ke sāmne
varna vo mere haal se begāna to nahīñ
ai barq tujh ko dhokā huā mujh ko dekh kar
zālim qafas hai ye merā kāshāna to nahīñ
taskīn-e-ḳhulq-e-sāqī ko piitā huuñ maiñ sharāb
merī nazar meñ saaqī hai paimāna to nahīñ
pās-e-adab hai kyā uThe aañkh is ke rū-ba-rū
is meñ savāl-e-jur.at-e-rindāna to nahīñ
jhukte haiñ us ko har jagah maujūd pā ke 'soz'
dil meñ hamāre ka.aba-o-but-ḳhāna to nahīñ
dil apna yaad-e-yar se begana to nahin
goya ki KHali mai se ye paimana to nahin
manta hai meri baat to nazren mila ke sun
ye mera haal-e-zar hai afsana to nahin
hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par
main aap ka diwana hun diwana to nahin
ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag mein
ek shoala tujh se lipTa hai parwana to nahin
danista mujh se jata hai ghairon ke samne
warna wo mere haal se begana to nahin
ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar
zalim qafas hai ye mera kashana to nahin
taskin-e-KHulq-e-saqi ko pita hun main sharab
meri nazar mein saqi hai paimana to nahin
pas-e-adab hai kya uThe aankh is ke ru-ba-ru
is mein sawal-e-jurat-e-rindana to nahin
jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke 'soz'
dil mein hamare kaba-o-but-KHana to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.