dil asir-e-gham-e-dauran hai ghazal kya kahiye
dil asir-e-gham-e-dauran hai ghazal kya kahiye
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
Interesting Fact
In response to a request to recite a ghazal
dil asīr-e-ġham-e-daurāñ hai ġhazal kyā kahiye
zindagī sar-ba-garebāñ hai ġhazal kyā kahiye
ab to har naqsh numāyāñ hai ġhazal kyā kahiye
dil charāġh-e-tah-e-dāmāñ hai ġhazal kyā kahiye
chehra-e-sho.ala-o-shabnam pe barastā hai dhuāñ
barq kī zad meñ gulistāñ hai ġhazal kyā kahiye
zulf-e-shab-rañg kā afsāna ḳhush-ā.ind sahī
rū-ba-rū shām-e-ġharībāñ hai ġhazal kyā kahiye
zauq par chhā.ī haiñ muñh boltī zinda ġhazleñ
ham haiñ aur majma.a-e-ḳhūbāñ hai ġhazal kyā kahiye
hāl-e-dil ġhair nazar ḳhīra parāganda dimāġh
hashr kā din shab-e-hijrāñ hai ġhazal kyā kahiye
fursat-e-tazkira-e-kākul-o-ruḳhsār kahāñ
jauharī daur meñ insāñ hai ġhazal kyā kahiye
bū-e-gul nāla-e-dil dūd-e-charāġh-e-mahfil
bazm kī bazm pareshāñ hai ġhazal kyā kahiye
faiz se jis ke chaman-zār-e-suḳhan thā sairāb
ḳhushk vo chāh-e-zanaḳhdāñ hai ġhazal kyā kahiye
man kī duniyā pe to chhā.e haiñ añdhere har sū
tan kī duniyā meñ charāġhāñ hai ġhazal kyā kahiye
bazm-e-afkār ko rakhtī thī jo raushan ai dost
lau usī sham.a kī larzāñ hai ġhazal kyā kahiye
āsmāñ sar pe uThā.e hai zamīñ kī shorish
ek hañgāma-e-tūfāñ hai ġhazal kyā kahiye
ḳhūn-e-mazlūm se ālūda hai chappa chappa
har taraf ganj-e-shahīdāñ hai ġhazal kyā kahiye
phuul murjhā.e hue nabz-e-chaman afsurda
ruḳhsat-e-fasl-e-bahārāñ hai ġhazal kyā kahiye
har taraf amn ke na.aroñ se fazā hai māmūr
har taraf jañg kā sāmāñ hai ġhazal kyā kahiye
ġhair to ġhair haiñ is daur-e-siyah-baḳhtī meñ
apnā saaya bhī gurezāñ hai ġhazal kyā kahiye
ab to siine meñ bajā.e dil-e-sozāñ 'fārūq'
ek sho.ala sā farozāñ hai ġhazal kyā kahiye
dil asir-e-gham-e-dauran hai ghazal kya kahiye
zindagi sar-ba-gareban hai ghazal kya kahiye
ab to har naqsh numayan hai ghazal kya kahiye
dil charagh-e-tah-e-daman hai ghazal kya kahiye
chehra-e-shoala-o-shabnam pe barasta hai dhuan
barq ki zad mein gulistan hai ghazal kya kahiye
zulf-e-shab-rang ka afsana KHush-aind sahi
ru-ba-ru sham-e-ghariban hai ghazal kya kahiye
zauq par chhai hain munh bolti zinda ghazlen
hum hain aur majma-e-KHuban hai ghazal kya kahiye
haal-e-dil ghair nazar KHira paraganda dimagh
hashr ka din shab-e-hijran hai ghazal kya kahiye
fursat-e-tazkira-e-kakul-o-ruKHsar kahan
jauhari daur mein insan hai ghazal kya kahiye
bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charagh-e-mahfil
bazm ki bazm pareshan hai ghazal kya kahiye
faiz se jis ke chaman-zar-e-suKHan tha sairab
KHushk wo chah-e-zanaKHdan hai ghazal kya kahiye
man ki duniya pe to chhae hain andhere har su
tan ki duniya mein charaghan hai ghazal kya kahiye
bazm-e-afkar ko rakhti thi jo raushan ai dost
lau usi shama ki larzan hai ghazal kya kahiye
aasman sar pe uThae hai zamin ki shorish
ek hangama-e-tufan hai ghazal kya kahiye
KHun-e-mazlum se aaluda hai chappa chappa
har taraf ganj-e-shahidan hai ghazal kya kahiye
phul murjhae hue nabz-e-chaman afsurda
ruKHsat-e-fasl-e-bahaaran hai ghazal kya kahiye
har taraf amn ke naron se faza hai mamur
har taraf jang ka saman hai ghazal kya kahiye
ghair to ghair hain is daur-e-siyah-baKHti mein
apna saya bhi gurezan hai ghazal kya kahiye
ab to sine mein bajae dil-e-sozan 'faruq'
ek shoala sa farozan hai ghazal kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.