dil aur kahin par hai to sar aur kahin par
dil aur kahīñ par hai to sar aur kahīñ par
vo sajda nahīñ daaġh hai dāmān-e-zamīñ par
qurbān tirī haañ pe tasadduq huuñ nahīñ par
sarmāya-e-hastī ko luTātā huuñ yahīñ par
naqsh-e-qadam-e-yār numāyāñ hai jabīñ par
shak hone lagā ab to mire maz.hab-o-dīñ par
hai sajda-e-iḳhlās kā adnā sā karishma
maiñ farsh-e-zamīñ par huuñ to sar arsh-e-barīñ par
tasvīr 'musavvir' ne jo khīñchī hai kisī kī
hūreñ na utar aa.eñ pa-e-dīd zamīñ par
dil aur kahin par hai to sar aur kahin par
wo sajda nahin dagh hai daman-e-zamin par
qurban teri han pe tasadduq hun nahin par
sarmaya-e-hasti ko luTata hun yahin par
naqsh-e-qadam-e-yar numayan hai jabin par
shak hone laga ab to mere mazhab-o-din par
hai sajda-e-iKHlas ka adna sa karishma
main farsh-e-zamin par hun to sar arsh-e-barin par
taswir 'musawwir' ne jo khinchi hai kisi ki
huren na utar aaen pa-e-did zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.