dil bahalta hi nahin hai jab kisi tadbir se
dil bahalta hi nahin hai jab kisi tadbir se
Naseem Zaidi Trishul
MORE BYNaseem Zaidi Trishul
dil bahaltā hī nahīñ hai jab kisī tadbīr se
hāl-e-dil kahtā huuñ apnā maiñ tirī tasvīr se
tīrgī chhā.ī huī hai is qadar ab chār-sū
jaise raushan hī na hogī zindagī tanvīr se
apne hāthoñ se bigāḌā maiñ ne jab taqdīr ko
phir karūñ kyūñ-kar shikāyat kātib-e-taqdīr se
dil meñ pahle hī ġham-o-ālām-e-duniyā kam na the
aur ghāyal ho gayā terā nazar ke tiir se
ab na rangīñ ḳhvāb mustaqbil ke dikhlāo mujhe
ḳhuub vāqif huuñ maiñ aise ḳhvāb kī ta.abīr se
kuchh ajab aalam hai dil kā jab se terā ḳhat paḌhā
tujh ko kyā ma.alūm dil kitnā dukhā tahrīr se
sirf māyūsī kī daldal hai jidhar bhī dekhiye
ham ko ye tohfa milā hai husn kī jāgīr se
dil bahalta hi nahin hai jab kisi tadbir se
haal-e-dil kahta hun apna main teri taswir se
tirgi chhai hui hai is qadar ab chaar-su
jaise raushan hi na hogi zindagi tanwir se
apne hathon se bigaDa main ne jab taqdir ko
phir karun kyun-kar shikayat katib-e-taqdir se
dil mein pahle hi gham-o-alam-e-duniya kam na the
aur ghayal ho gaya tera nazar ke tir se
ab na rangin KHwab mustaqbil ke dikhlao mujhe
KHub waqif hun main aise KHwab ki tabir se
kuchh ajab aalam hai dil ka jab se tera KHat paDha
tujh ko kya malum dil kitna dukha tahrir se
sirf mayusi ki daldal hai jidhar bhi dekhiye
hum ko ye tohfa mila hai husn ki jagir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.