Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil bahut hairan hai kyon un se pale paD gae

Shyam Vashishtha Shahid

dil bahut hairan hai kyon un se pale paD gae

Shyam Vashishtha Shahid

MORE BYShyam Vashishtha Shahid

    dil bahut hairān hai kyoñ un se paale paḌ ga.e

    ḳhvāb jin ke dekh kar āñkhoñ meñ jaale paḌ ga.e

    dekhiye qudrat huī hai yuuñ mohabbat ke ḳhilāf

    chāñd ko chūmā to mere hoñTh kaale paḌ ga.e

    peT is aag ne dafnā diyā sab zamīr

    sāmne jab roTiyoñ ke do nivāle paḌ ga.e

    rāste andhī taraqqī ke bahut mahñge paḌe

    dekhiye tahzīb ke pairoñ meñ chhāle paḌ ga.e

    mere haq meñ bolnā thā vo bhī sach aur sirf sach

    is liye sab zabāñ pe aaj taale paḌ ga.e

    dil bahut hairan hai kyon un se pale paD gae

    KHwab jin ke dekh kar aankhon mein jale paD gae

    dekhiye qudrat hui hai yun mohabbat ke KHilaf

    chand ko chuma to mere honTh kale paD gae

    peT ki is aag ne dafna diya sab ka zamir

    samne jab roTiyon ke do niwale paD gae

    raste andhi taraqqi ke bahut mahnge paDe

    dekhiye tahzib ke pairon mein chhaale paD gae

    mere haq mein bolna tha wo bhi sach aur sirf sach

    is liye sab ki zaban pe aaj tale paD gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now