Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil bana hai hadaf-e-tir-e-nazar aap hi aap

Asar Dehlvi

dil bana hai hadaf-e-tir-e-nazar aap hi aap

Asar Dehlvi

MORE BYAsar Dehlvi

    dil banā hai hadaf-e-tīr-e-nazar aap aap

    zaḳhm khaa.e haiñ shab-o-roz magar aap aap

    ḳhauf-e-rahzan bhī nahīñ hājat-e-rahbar bhī nahīñ

    rahguzar hai ḳhizar-e-rāhguzar aap aap

    kuchh udhar se bhī taqāzā-e-vafā hone de

    dil-e-nādāñ āġhāz na kar aap aap

    ham ne maanā ki nazar ham na kareñge hargiz

    aur khīñche koī dāman ko agar aap aap

    laakh pardoñ meñ koī ḳhud ko chhupā.e bhī to kyā

    jazb kar legī nazāroñ ko nazar aap aap

    fikr-e-sāmān-e-takalluf ho 'asar' kyuuñ be-kār

    ziist ho jā.egī aise basar aap aap

    dil bana hai hadaf-e-tir-e-nazar aap hi aap

    zaKHm khae hain shab-o-roz magar aap hi aap

    KHauf-e-rahzan bhi nahin hajat-e-rahbar bhi nahin

    rahguzar hai KHizar-e-rahguzar aap hi aap

    kuchh udhar se bhi taqaza-e-wafa hone de

    dil-e-nadan tu hi aaghaz na kar aap hi aap

    hum ne mana ki nazar hum na karenge hargiz

    aur khinche koi daman ko agar aap hi aap

    lakh pardon mein koi KHud ko chhupae bhi to kya

    jazb kar legi nazaron ko nazar aap hi aap

    fikr-e-saman-e-takalluf ho 'asar' kyun be-kar

    zist ho jaegi aise hi basar aap hi aap

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 227)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now