dil be-qarar kyon na ho naKHchir ki tarah
dil be-qarār kyoñ na ho naḳhchīr kī tarah
chubhtī hai gul-ruḳhoñ kī nazar tiir kī tarah
rāñjhe kī tarh qaid huuñ apne makān meñ
chupke se dekhtā hai koī hiir kī tarah
pūchhā bhī us ne haal hamārā to ġhair se
yā'nī hai iltifāt bhī tā'zīr kī tarah
donoñ kā ek haal hai pursāñ nahīñ koī
hai shām-e-ġham bhī ‘āshiq-e-dil-gīr kī tarah
hairān huuñ maiñ sūrat-e-ā.īna ai 'shakīl'
baiThā hai sāmne koī tasvīr kī tarah
dil be-qarar kyon na ho naKHchir ki tarah
chubhti hai gul-ruKHon ki nazar tir ki tarah
ranjhe ki tarh qaid hun apne makan mein
chupke se dekhta hai koi hir ki tarah
puchha bhi us ne haal hamara to ghair se
ya'ni hai iltifat bhi ta'zir ki tarah
donon ka ek haal hai pursan nahin koi
hai sham-e-gham bhi ‘ashiq-e-dil-gir ki tarah
hairan hun main surat-e-aina ai 'shakil'
baiTha hai samne koi taswir ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.