dil bhi jalaya usne jo mera jalaya KHat
dil bhī jalāyā us ne jo merā jalāyā ḳhat
afsos maiñ ne jā ke usī ko paḌhāyā ḳhat
jitnā chhupā ke rakkhā thā duniyā se apnā ishq
jā kar har ek bazm meñ us ne sunāyā ḳhat
aTkī hai jaan halq meñ deñge vo kyā javāb
parvardigār ḳhair ho ab tak na aaya ḳhat
us tak to dil kī baat ko pahuñchānā thā zarūr
us ke liye likhā thā usī se paḌhāyā ḳhat
maiñ ne kahā ki kījiye 'irshād' kuchh huzūr
us ne thamā diyā mujhe chupke se laayā ḳhat
dil bhi jalaya us ne jo mera jalaya KHat
afsos main ne ja ke usi ko paDhaya KHat
jitna chhupa ke rakkha tha duniya se apna ishq
ja kar har ek bazm mein us ne sunaya KHat
aTki hai jaan halq mein denge wo kya jawab
parwardigar KHair ho ab tak na aaya KHat
us tak to dil ki baat ko pahunchana tha zarur
us ke liye likha tha usi se paDhaya KHat
main ne kaha ki kijiye 'irshad' kuchh huzur
us ne thama diya mujhe chupke se laya KHat
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 146)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.