dil bhi tanha rahta hai aur meri talab tanha
dil bhī tanhā rahtā hai aur mirī talab tanhā
āñsuoñ ke mele meñ rahtī huuñ maiñ ab tanhā
ḳhalvatoñ ko hai merī kis qadar hasīñ nisbat
maiñ zamīñ pe tanhā huuñ arsh par hai rab tanhā
ik shajar thā sahrā meñ dhuup thī kaḌī jis par
Dhal gayā thā saaya bhī rah gayā vo jab tanhā
kyā tujhe ḳhabar bhī hai hijr kī havelī meñ
raat bhar taḌaptā hai koī tishna-lab tanhā
titlī chiḌiyā parvāne chāñd sūraj aur jugnū
apnī apnī duniyā meñ phir rahe haiñ sab tanhā
zindagī se baḌh kar thī qīmtī jo shab merī
chashm-e-tar meñ Duubī sī kaT ga.ī vo shab tanhā
dair ho yā ka.aba ho kis kī justujū meñ ye
phir rahā hai sadiyoñ se ishq kā nasab tanhā
yaad ke jharokoñ se ik sadā sī aatī hai
umr ke kaThin lamhe kaTte haiñ ye kab tanhā
kuchh ajab savāloñ meñ jaane kin ḳhayāloñ meñ
koī rotā rahtā hai yūñhī be-sabab tanhā
sach ko chhoḌne vaale fikr kyoñ nahīñ karte
jal rahā hai dozaḳh meñ kab se bū-lahab tanhā
tab huā ujāgar ye fikr-o-fan shafaq merā
qabr ke añdheroñ meñ rah ga.ī maiñ jab tanhā
dil bhi tanha rahta hai aur meri talab tanha
aansuon ke mele mein rahti hun main ab tanha
KHalwaton ko hai meri kis qadar hasin nisbat
main zamin pe tanha hun arsh par hai rab tanha
ek shajar tha sahra mein dhup thi kaDi jis par
Dhal gaya tha saya bhi rah gaya wo jab tanha
kya tujhe KHabar bhi hai hijr ki haweli mein
raat bhar taDapta hai koi tishna-lab tanha
titli chiDiya parwane chand suraj aur jugnu
apni apni duniya mein phir rahe hain sab tanha
zindagi se baDh kar thi qimti jo shab meri
chashm-e-tar mein Dubi si kaT gai wo shab tanha
dair ho ya kaba ho kis ki justuju mein ye
phir raha hai sadiyon se ishq ka nasab tanha
yaad ke jharokon se ek sada si aati hai
umr ke kaThin lamhe kaTte hain ye kab tanha
kuchh ajab sawalon mein jaane kin KHayalon mein
koi rota rahta hai yunhi be-sabab tanha
sach ko chhoDne wale fikr kyon nahin karte
jal raha hai dozaKH mein kab se bu-lahab tanha
tab hua ujagar ye fikr-o-fan shafaq mera
qabr ke andheron mein rah gai main jab tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.