dil bujh gaya nigah-e-KHaridar dekh kar
dil bujh gayā nigāh-e-ḳharīdār dekh kar
ya.anī havas kī garmī-e-bāzār dekh kar
dekhā nigāh-e-qahr se dāvar ne roz-e-hashr
phir hans paḌā vo shakl-e-gunahgār dekh kar
nāzuk se haath narm kalā.ī zarā sā dil
hañstā huuñ un ke hāthoñ meñ talvār dekh kar
gardish pe ho gayā thā bahut āsmāñ ko naaz
chakkar meñ aa gayā tirī raftār dekh kar
rokī ga.ī na kātib-e-taqdīr se hañsī
terī zabāñ pe vasl kā iqrār dekh kar
paidā huī hai tark-e-mohabbat kī aarzū
har bul-havas ko us kā ḳharīdār dekh kar
har roz zindagī na.ī miltī hai ishq meñ
martā huuñ varna maiñ unheñ har baar dekh kar
'sāhir' buland-o-past se thī shaaq rah-ravī
dil munfa.il hai raah ko hamvār dekh kar
dil bujh gaya nigah-e-KHaridar dekh kar
yani hawas ki garmi-e-bazar dekh kar
dekha nigah-e-qahr se dawar ne roz-e-hashr
phir hans paDa wo shakl-e-gunahgar dekh kar
nazuk se hath narm kalai zara sa dil
hansta hun un ke hathon mein talwar dekh kar
gardish pe ho gaya tha bahut aasman ko naz
chakkar mein aa gaya teri raftar dekh kar
roki gai na katib-e-taqdir se hansi
teri zaban pe wasl ka iqrar dekh kar
paida hui hai tark-e-mohabbat ki aarzu
har bul-hawas ko us ka KHaridar dekh kar
har roz zindagi nai milti hai ishq mein
marta hun warna main unhen har bar dekh kar
'sahir' buland-o-past se thi shaq rah-rawi
dil munfail hai rah ko hamwar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.