dil chahta tha lana jigar le ke aa gaya
dil chāhtā thā laanā jigar le ke aa gayā
maiñ apnī shā.irī kā hunar le ke aa gayā
ai iltifāt-e-yār mujhe muaaf kar ki maiñ
laanā kahīñ thā tujh ko kidhar le ke aa gayā
manzil kī justujū thī mujhe rāh-e-ishq meñ
anjām ye ki gard-e-safar le ke aa gayā
phir yuuñ huā ke apnī ġhazal kī kitāb meñ
maiñ apnī bebasī kā asar le ke aa gayā
'kāshif' kī shā.irī meñ alag baat hai ki vo
ġhazloñ meñ apnā ḳhūn-e-jigar le ke aa gayā
dil chahta tha lana jigar le ke aa gaya
main apni shairi ka hunar le ke aa gaya
ai iltifat-e-yar mujhe muaf kar ki main
lana kahin tha tujh ko kidhar le ke aa gaya
manzil ki justuju thi mujhe rah-e-ishq mein
anjam ye ki gard-e-safar le ke aa gaya
phir yun hua ke apni ghazal ki kitab mein
main apni bebasi ka asar le ke aa gaya
'kashif' ki shairi mein alag baat hai ki wo
ghazlon mein apna KHun-e-jigar le ke aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.