dil chaak karo ho na jigar chaak karo ho
dil chaak karo ho na jigar chaak karo ho
tum phir bhī lahū-rang ye poshāk karo ho
ab tum se sañbhāle nahīñ jaate ye ḳham-o-pech
kyā fā.eda zulfoñ se jo pechāk karo ho
pairoñ kī dhamak se to na ulTī ye zamīñ bhī
kyā zer-e-qadam sarhad-e-aflāk karo ho
ye jism bhī kal munsifī chāhegā yaqīnan
tum raakh karo ho yā ise ḳhaak karo ho
bik jāoge ik din usī ma.asūm ke hāthoñ
tum jis kisī ma.asūm ko chālāk karo ho
haiñ zāġh-o-zaġhan taak meñ nazroñ ko gaḌā.e
kab kisht-e-badan tum ḳhas-o-ḳhāshāk karo ho
'ḳhusrav' kabhī ḳhud is kā maza tum bhī to chakkho
jo nok-e-zabāñ ḳhanjar-e-saffāk karo ho
dil chaak karo ho na jigar chaak karo ho
tum phir bhi lahu-rang ye poshak karo ho
ab tum se sanbhaale nahin jate ye KHam-o-pech
kya faeda zulfon se jo pechaak karo ho
pairon ki dhamak se to na ulTi ye zamin bhi
kya zer-e-qadam sarhad-e-aflak karo ho
ye jism bhi kal munsifi chahega yaqinan
tum rakh karo ho ya ise KHak karo ho
bik jaoge ek din usi masum ke hathon
tum jis kisi masum ko chaalak karo ho
hain zagh-o-zaghan tak mein nazron ko gaDae
kab kisht-e-badan tum KHas-o-KHashak karo ho
'KHusraw' kabhi KHud is ka maza tum bhi to chakkho
jo nok-e-zaban KHanjar-e-saffak karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.