dil dhaDakta hai par wo baat nahin
dil dhaḌaktā hai par vo baat nahīñ
din nahīñ din sā raat raat nahīñ
aisā lagtā hai aap ke bin ab
saañs hāsil hai par hayāt nahīñ
muskurāte hue chale aao
chāhiye mujh ko kā.enāt nahīñ
vo marāsim bhī kyā marāsim haiñ
jis marāsim meñ iltifāt nahīñ
sab kā bas ek rab vahī shohrat
ab kisī aadmī kī zaat nahīñ
ik ḳhushī hai mujhe 'ananyā' kahīñ
dil dukhāne meñ merā haath nahīñ
dil dhaDakta hai par wo baat nahin
din nahin din sa raat raat nahin
aisa lagta hai aap ke bin ab
sans hasil hai par hayat nahin
muskuraate hue chale aao
chahiye mujh ko kaenat nahin
wo marasim bhi kya marasim hain
jis marasim mein iltifat nahin
sab ka bas ek rab wahi shohrat
ab kisi aadmi ki zat nahin
ek KHushi hai mujhe 'ananya' kahin
dil dukhane mein mera hath nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.