dil dukhane ki baat karte ho
dil dukhāne kī baat karte ho
aa ke jaane kī baat karte ho
maiñ asīr-e-qafas huuñ kyoñ mujh se
āshiyāne kī baat karte ho
chaman apnā thā āshiyāñ apnā
kis zamāne kī baat karte ho
baat karte ho ġhair se hañs kar
uf rulāne kī baat karte ho
dil kī hālat ajiib hotī hai
jab bhī jaane kī baat karte ho
'auj' kyoñ dil ko de rahe ho fareb
un ke aane kī baat karte ho
dil dukhane ki baat karte ho
aa ke jaane ki baat karte ho
main asir-e-qafas hun kyon mujh se
aashiyane ki baat karte ho
chaman apna tha aashiyan apna
kis zamane ki baat karte ho
baat karte ho ghair se hans kar
uf rulane ki baat karte ho
dil ki haalat ajib hoti hai
jab bhi jaane ki baat karte ho
'auj' kyon dil ko de rahe ho fareb
un ke aane ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.