dil-e-barbaad par bijli gira do
dil-e-barbād par bijlī girā do
usī andāz se phir muskurā do
hijāb andar hijāb āḳhir kahāñ tak
ḳhudārā ab to sab parde uThā do
jahān-e-be-ḳhudī meñ kho gayā huuñ
jo mumkin ho mujhe mujh se milā do
mai-o-mīnā se us ko vāsta kyā
jise tum apnī āñkhoñ se pilā do
jise ho naaz apne zabt-e-dil par
hamārī dāstān-e-ġham sunā do
taqāza hai ye un jalvoñ kā 'maḳhmūr'
kahīñ dil aur kahīñ tum sar jhukā do
dil-e-barbaad par bijli gira do
usi andaz se phir muskura do
hijab andar hijab aaKHir kahan tak
KHudara ab to sab parde uTha do
jahan-e-be-KHudi mein kho gaya hun
jo mumkin ho mujhe mujh se mila do
mai-o-mina se us ko wasta kya
jise tum apni aankhon se pila do
jise ho naz apne zabt-e-dil par
hamari dastan-e-gham suna do
taqaza hai ye un jalwon ka 'maKHmur'
kahin dil aur kahin tum sar jhuka do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.