dil-e-be-muddaa ne mar Dala
dil-e-be-mudda.ā ne maar Daalā
mujhe merī hayā ne maar Daalā
qazā ko chāhiye thā ik bahāna
mujhe terī duā ne maar Daalā
jise paalā thā tere gesuoñ ne
use bād-e-sabā ne maar Daalā
zamāne kī havā kab raas aa.ī
zamāne kī havā ne maar Daalā
jise apnā samajh ke dil lagāyā
usī dair-āshnā ne maar Daalā
mujhe to maar saktā thā na koī
mohabbat kī adā ne maar Daalā
talāsh-e-yār meñ phirtā huuñ kab se
kisī ke naqsh-e-pā ne maar Daalā
buzurgoñ kī duā se bach gayā thā
mujhe merī duā ne maar Daalā
'rafīq' ik roz to marnā hai lekin
kisī rangīñ adā ne maar Daalā
dil-e-be-muddaa ne mar Dala
mujhe meri haya ne mar Dala
qaza ko chahiye tha ek bahana
mujhe teri dua ne mar Dala
jise pala tha tere gesuon ne
use baad-e-saba ne mar Dala
zamane ki hawa kab ras aai
zamane ki hawa ne mar Dala
jise apna samajh ke dil lagaya
usi dair-ashna ne mar Dala
mujhe to mar sakta tha na koi
mohabbat ki ada ne mar Dala
talash-e-yar mein phirta hun kab se
kisi ke naqsh-e-pa ne mar Dala
buzurgon ki dua se bach gaya tha
mujhe meri dua ne mar Dala
'rafiq' ek roz to marna hai lekin
kisi rangin ada ne mar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.