Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-be-qaid ne ba-nur-e-iman kafiri ki hai

Salik Lakhnavi

dil-e-be-qaid ne ba-nur-e-iman kafiri ki hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    dil-e-be-qaid ne bā-nūr-e-īmāñ kāfirī hai

    haram meñ sar jhukāyā hai butoñ chākarī hai

    ba-sad bechārgī roz-e-azal se ibn-e-ādam ne

    ḳhudā ke har tasavvur par kisī but-garī hai

    ḳhudā shāhid inhīñ hāthoñ ne toḌe haiñ hazāroñ but

    ḳhudā shāhid inhīñ hāthoñ ne aksar āzarī hai

    matā.a-e-bandagī baḳhshish ḳhātir le kar aaya thā

    sar-e-mahshar ḳhudā ke saath bhī saudāgarī hai

    mashiyyat thī rahe majbūr-e-mahkūmī amal mere

    kabhī hai azāzīlī kabhī paiġhambarī hai

    bas ik dar ke sivā ye sar kahīñ jhukne nahīñ paayā

    faqīrī meñ bhī is dil ne baḌī iskandarī hai

    kabhī tārīḳh-sāzī kabhī afsāne bun Daale

    kabhī 'sālik' ne un yaad meñ kuchh shā.irī hai

    dil-e-be-qaid ne ba-nur-e-iman kafiri ki hai

    haram mein sar jhukaya hai buton ki chaakari ki hai

    ba-sad bechaargi roz-e-azal se ibn-e-adam ne

    KHuda ke har tasawwur par kisi ki but-gari ki hai

    KHuda shahid inhin hathon ne toDe hain hazaron but

    KHuda shahid inhin hathon ne aksar aazari ki hai

    mataa-e-bandagi baKHshish ki KHatir le kar aaya tha

    sar-e-mahshar KHuda ke sath bhi saudagari ki hai

    mashiyyat thi rahe majbur-e-mahkumi amal mere

    kabhi ki hai azazili kabhi paighambari ki hai

    bas ek dar ke siwa ye sar kahin jhukne nahin paya

    faqiri mein bhi is dil ne baDi iskandari ki hai

    kabhi tariKH-sazi ki kabhi afsane bun Dale

    kabhi 'salik' ne un ki yaad mein kuchh shairi ki hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now