dil-e-be-qarar ki marifat baDi ehtiyat ka kaam hai
dil-e-be-qarar ki marifat baDi ehtiyat ka kaam hai
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
dil-e-be-qarār kī mā'rifat baḌī ehtiyāt kā kaam hai
yahī un kī ḳhalvat-e-nāz hai yahī dūsroñ kā maqām hai
maiñ to muddatoñ se huuñ muntazir ki shab-e-firāq kī ho sahar
magar is nasīb ko kyā karūñ na salām hai na payām hai
vo hazār tarh haiñ jalva-gar kabhī is jagah kabhī us jagah
unheñ ḳhud-numā.ī kā shauq hai mirī justujū kā to naam hai
na dil-o-nigāh pe apnā bas na ḳhayāl par mirī dastaras
kabhī vo hī vo kabhī maiñ hī maiñ ye baḌā 'ajīb maqām hai
kabhī zulmatoñ meñ thī raushnī kabhī raushnī meñ haiñ zulmateñ
ye haiñ inqalāb kī karvaTeñ jahāñ sub.h thī vahīñ shaam hai
lab-e-shikva bhī na hilā sakūñ unheñ hāl-e-ġham na sunā sakūñ
jise maut kahte haiñ 'ishq meñ isī be-kasī kā to naam hai
ye to 'maikash' ek fareb hai nahīñ mai-kade meñ ye sarḳhushī
tū nigāh apne hī dil pe rakh yahī baada hai yahī jaam hai
dil-e-be-qarar ki ma'rifat baDi ehtiyat ka kaam hai
yahi un ki KHalwat-e-naz hai yahi dusron ka maqam hai
main to muddaton se hun muntazir ki shab-e-firaq ki ho sahar
magar is nasib ko kya karun na salam hai na payam hai
wo hazar tarh hain jalwa-gar kabhi is jagah kabhi us jagah
unhen KHud-numai ka shauq hai meri justuju ka to nam hai
na dil-o-nigah pe apna bas na KHayal par meri dastaras
kabhi wo hi wo kabhi main hi main ye baDa 'ajib maqam hai
kabhi zulmaton mein thi raushni kabhi raushni mein hain zulmaten
ye hain inqalab ki karwaTen jahan subh thi wahin sham hai
lab-e-shikwa bhi na hila sakun unhen haal-e-gham na suna sakun
jise maut kahte hain 'ishq mein isi be-kasi ka to nam hai
ye to 'maikash' ek fareb hai nahin mai-kade mein ye sarKHushi
tu nigah apne hi dil pe rakh yahi baada hai yahi jam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.