dil-e-betab ka payam liya
dil-e-betāb kā payām liyā
phir kisī ne mirā salām liyā
ruuTh kar ham se tū ne ai zālim
kis ḳhatā kā hai intiqām liyā
ho ke majbūr josh-e-ulfat se
ham ne dāman kisī kā thaam liyā
phuul jhaḌne lage zabāñ se mirī
jab kisī gul-badan kā naam liyā
kaam aa.e na aql-o-hosh jahāñ
ham ne dīvāngī se kaam liyā
Dagmagāte hue mire dil ko
us hasīñ ajnabī ne thaam liyā
shiddat-e-ranj-o-ġham meñ ai 'nayyar'
ham ne jām-o-subū se kaam liyā
dil-e-betab ka payam liya
phir kisi ne mera salam liya
ruTh kar hum se tu ne ai zalim
kis KHata ka hai intiqam liya
ho ke majbur josh-e-ulfat se
hum ne daman kisi ka tham liya
phul jhaDne lage zaban se meri
jab kisi gul-badan ka nam liya
kaam aae na aql-o-hosh jahan
hum ne diwangi se kaam liya
Dagmagate hue mere dil ko
us hasin ajnabi ne tham liya
shiddat-e-ranj-o-gham mein ai 'nayyar'
hum ne jam-o-subu se kaam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.