dil-e-betab mera wo na phansane pae
dil-e-betāb mirā vo na phañsāne paa.e
do hī jhaTke jo zarā zulf-e-dotā ne paa.e
hāth-pā.ī huī maiḳhāne meñ zāhid se kahīñ
ham ne tasbīh ke bikhre hue daane paa.e
chheḌ manzūr na ho tujh ko to mizhgāñ terī
dil-e-betāb ko unglī na lagāne paa.e
jal gayā kyā mirī ātish-qadamī se jangal
chaar tinke na kahīñ bād-e-sabā ne paa.e
ham ne apnā dil-e-gum-gashta na paaya kho kar
varna yaañ DhūñDhne vāloñ ne ḳhazāne paa.e
lā shab-e-va.ada use khīñch ke ai jazba-e-dil
hīla-jū paañv meñ meñhdī na lagāne paa.e
huur ke vāste zāhid ne ibādat kī hai
sair to jab hai ki jannat meñ na jaane paa.e
dil-e-betab mera wo na phansane pae
do hi jhaTke jo zara zulf-e-dota ne pae
hath-pai hui maiKHane mein zahid se kahin
hum ne tasbih ke bikhre hue dane pae
chheD manzur na ho tujh ko to mizhgan teri
dil-e-betab ko ungli na lagane pae
jal gaya kya meri aatish-qadami se jangal
chaar tinke na kahin baad-e-saba ne pae
hum ne apna dil-e-gum-gashta na paya kho kar
warna yan DhunDhne walon ne KHazane pae
la shab-e-wada use khinch ke ai jazba-e-dil
hila-ju panw mein meinhdi na lagane pae
hur ke waste zahid ne ibaadat ki hai
sair to jab hai ki jannat mein na jaane pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.