dil-e-dard-ashna rakkhe hue hain
dil-e-dard-āshnā rakkhe hue haiñ
badan meñ karbalā rakkhe hue haiñ
kisī ke rang meñ Dhalte nahīñ haiñ
ham apnī kīmiyā rakkhe hue haiñ
hamīñ tafhīm-e-duniyā ke muamme
ḳhalā andar ḳhalā rakkhe hue haiñ
koī manzil nahīñ manzil hamārī
ik ātish zer-e-pā rakkhe hue haiñ
laḌā.ī zulmat-e-shab se hai jaarī
sar-e-bām ik diyā rakkhe hue haiñ
hamāre sāmne haiñ par vo yuuñ haiñ
na hone kī adā rakkhe hue haiñ
jo mausam pahn kar aa.e haiñ sūraj
vo dāman meñ ghaTā rakkhe hue haiñ
dalīl-e-ḳhāmushī kaam aa rahī hai
kisī ko be-navā rakkhe hue haiñ
dil-e-dard-ashna rakkhe hue hain
badan mein karbala rakkhe hue hain
kisi ke rang mein Dhalte nahin hain
hum apni kimiya rakkhe hue hain
hamin tafhim-e-duniya ke muamme
KHala andar KHala rakkhe hue hain
koi manzil nahin manzil hamari
ek aatish zer-e-pa rakkhe hue hain
laDai zulmat-e-shab se hai jari
sar-e-baam ek diya rakkhe hue hain
hamare samne hain par wo yun hain
na hone ki ada rakkhe hue hain
jo mausam pahn kar aae hain suraj
wo daman mein ghaTa rakkhe hue hain
dalil-e-KHamushi kaam aa rahi hai
kisi ko be-nawa rakkhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.