dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya
dil-e-fasurda use kyuuñ gale lagā na liyā
qarīb rah ke bhī jis ne tirā patā na liyā
bas ek lamhe meñ kyā kuchh guzar ga.ī dil par
bahāl hote hue ham ne ik zamāna liyā
kisī bhī haal meñ pahuñche to haiñ kināre par
yahī bahut hai ki ehsān-e-nāḳhudā na liyā
ḳhayāl aayā ravāna hue safar ke liye
na ham ne raḳht hī bāñdhā na āb-o-dāna liyā
maiñ jī rahā huuñ magar yād-e-raftagāñ kī tarah
mujhe ga.e hue lamhoñ ne kyuuñ bulā na liyā
tamām umr havā phāñkte hue guzrī
rahe zamīñ pe magar ḳhaak kā mazā na liyā
azal se hai vahī be-kaif raushnī ab tak
guloñ kā rañg sitāroñ ne kyuuñ uḌā na liyā
jo thā aziiz usī se gurez karte rahe
galī galī meñ phire apnā rāsta na liyā
umiid sho.ala nahīñ āftāb hai 'shahzād'
charāġh thā to havāoñ ne kyuuñ bujhā na liyā
dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya
qarib rah ke bhi jis ne tera pata na liya
bas ek lamhe mein kya kuchh guzar gai dil par
bahaal hote hue hum ne ek zamana liya
kisi bhi haal mein pahunche to hain kinare par
yahi bahut hai ki ehsan-e-naKHuda na liya
KHayal aaya rawana hue safar ke liye
na hum ne raKHt hi bandha na aab-o-dana liya
main ji raha hun magar yaad-e-raftagan ki tarah
mujhe gae hue lamhon ne kyun bula na liya
tamam umr hawa phankte hue guzri
rahe zamin pe magar KHak ka maza na liya
azal se hai wahi be-kaif raushni ab tak
gulon ka rang sitaron ne kyun uDa na liya
jo tha aziz usi se gurez karte rahe
gali gali mein phire apna rasta na liya
umid shoala nahin aaftab hai 'shahzad'
charagh tha to hawaon ne kyun bujha na liya
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.