dil-e-gham-gin talabgar-e-qaza-e-na-gahan kyon ho
dil-e-gham-gin talabgar-e-qaza-e-na-gahan kyon ho
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
dil-e-ġham-gīñ talabgār-e-qazā-e-nā-gahāñ kyoñ ho
jise ġham mil gayā vo zindagī se sargirāñ kyoñ ho
taġhāful aur jafā ke baa'd sarhad hai mohabbat kī
dil-e-shaidā tire zulm-o-sitam se bad-gumāñ kyoñ ho
mire shukr-e-jafā par muskurā.e aur farmāyā
sitam jab mehrbānī hai to koī meherbāñ kyoñ ho
mujhe hairat hai gulzār-e-jināñ kī dil-farebī par
ḳhizāñ jis ko nahīñ vo gulsitāñ phir gulsitāñ kyoñ ho
milā phūloñ ko rang-e-ātshīñ jalte nasheman se
chaman ho mo'tarif is kā to ranj-e-āshiyāñ kyoñ ho
guloñ se siikh le iḳhfā-e-rāz-e-āshiqī koī
ḳhalish kāñToñ kī jo dil meñ hai chehre se ayaañ kyoñ ho
gila kartā huuñ qismat kā to ye a.amāl kahte haiñ
tū hī jab ho adū apnā to dushman āsmāñ kyoñ ho
jise duniyā meñ sair-e-gulshan-e-kashmīr ho hāsil
vo zāhid kī tarah jāñdāda-e-bāġh-e-jināñ kyoñ ho
dil-e-gham-gin talabgar-e-qaza-e-na-gahan kyon ho
jise gham mil gaya wo zindagi se sargiran kyon ho
taghaful aur jafa ke ba'd sarhad hai mohabbat ki
dil-e-shaida tere zulm-o-sitam se bad-guman kyon ho
mere shukr-e-jafa par muskurae aur farmaya
sitam jab mehrbani hai to koi meherban kyon ho
mujhe hairat hai gulzar-e-jinan ki dil-farebi par
KHizan jis ko nahin wo gulsitan phir gulsitan kyon ho
mila phulon ko rang-e-atshin jalte nasheman se
chaman ho mo'tarif is ka to ranj-e-ashiyan kyon ho
gulon se sikh le iKHfa-e-raaz-e-ashiqi koi
KHalish kanTon ki jo dil mein hai chehre se ayan kyon ho
gila karta hun qismat ka to ye aamal kahte hain
tu hi jab ho adu apna to dushman aasman kyon ho
jise duniya mein sair-e-gulshan-e-kashmir ho hasil
wo zahid ki tarah jaandada-e-bagh-e-jinan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.