dil-e-gil ne sukun paya hai pa-e-yasmin se hi
dil-e-gil ne sukūñ paayā hai pā-e-yāsmīñ se hī
ki ḳhisht-o-ḳhvāb raushan sab haiñ dast-e-nīlmīñ se hī
huā thā mubtalā hijrāñ ke mausam meñ taġhāful se
ki lauTīñ haiñ bahāreñ terī zulf-e-‘ambarīñ se hī
nahīñ kuchh kah sakā jab maiñ to phir kahne lagā ġhazleñ
maiñ shā'ir bhī banā huuñ to huā tere hazīñ se hī
nikal kar ḳhāna-e-vahshat se jaatā to kidhar jaatā
sukūn-e-dil mayassar hai mujhe us nāznīñ se hī
banā jo dasht-e-ġhurbat meñ sahārā tū 'ahad' merā
mujhe lagne lagā gulshan bhī sahrā is yaqīñ se hī
dil-e-gil ne sukun paya hai pa-e-yasmin se hi
ki KHisht-o-KHwab raushan sab hain dast-e-nilmin se hi
hua tha mubtala hijran ke mausam mein taghaful se
ki lauTin hain bahaaren teri zulf-e-‘ambarin se hi
nahin kuchh kah saka jab main to phir kahne laga ghazlen
main sha'ir bhi bana hun to hua tere hazin se hi
nikal kar KHana-e-wahshat se jata to kidhar jata
sukun-e-dil mayassar hai mujhe us naznin se hi
bana jo dasht-e-ghurbat mein sahaara tu 'ahad' mera
mujhe lagne laga gulshan bhi sahra is yaqin se hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.