dil-e-hazin hai tere gham mein be-qarar bahut
dil-e-hazin hai tere gham mein be-qarar bahut
Zahid Ali Khan Asar
MORE BYZahid Ali Khan Asar
dil-e-hazīñ hai tire ġham meñ be-qarār bahut
ye chashm-e-ġham hai shab-o-roz ashk-bār bahut
sadā se shahr meñ tere ḳhulūs hai nāyāb
jo be-ḳhulūs haiñ Thahre haiñ bā-vaqār bahut
tire firāq meñ ab dil ujāḌ-nagrī hai
yahī vo peḌ hai jis par the barg-o-bār bahut
sabā-e-nāz ko dekhā hai vajd meñ maiñ ne
kahīñ hai zulf-e-siyah-fām mushk-bār bahut
adā-o-nāz se sehn-e-chaman meñ kaun aaya
guloñ pe rang nayā hai na.ī bahār bahut
ravāñ hai us kī mohabbat meñ jaane kab se asar
hazār rang liye dil kī jū-e-bār bahut
dil-e-hazin hai tere gham mein be-qarar bahut
ye chashm-e-gham hai shab-o-roz ashk-bar bahut
sada se shahr mein tere KHulus hai nayab
jo be-KHulus hain Thahre hain ba-waqar bahut
tere firaq mein ab dil ujaD-nagri hai
yahi wo peD hai jis par the barg-o-bar bahut
saba-e-naz ko dekha hai wajd mein main ne
kahin hai zulf-e-siyah-fam mushk-bar bahut
ada-o-naz se sehn-e-chaman mein kaun aaya
gulon pe rang naya hai nai bahaar bahut
rawan hai us ki mohabbat mein jaane kab se asar
hazar rang liye dil ki ju-e-bar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.