dil-e-hazin ko alam mein qarar bhi to nahin
dil-e-hazīñ ko alam meñ qarār bhī to nahīñ
mizāj-e-yār pe kuchh iḳhtiyār bhī to nahīñ
abhī se dasht-navardī kī fikr kyoñ dil ko
chaman meñ aane ko fasl-e-bahār bhī to nahīñ
maiñ kaise maan luuñ apne ko jāñ-nisāroñ meñ
mirī vafā kā tumheñ e.atibār bhī to nahīñ
hamārā shukr tirī ne.amatoñ ke aage kyā
tire karam kā hai koī shumār bhī to nahīñ
rahā ye ġhuncha-e-dil nā-shagufta misl-e-ḳhizāñ
girah-kushā-e-tabī.at bahār bhī to nahīñ
tumhāre va.adoñ pe ab kis tarah yaqīn aa.e
vafā huā hai kabhī ek baar bhī to nahīñ
basar kare koī vahshī bhī dasht meñ kyūñkar
koī daraḳht yahāñ sāya-dār bhī to nahīñ
ab un kī shān-e-taġhāful kā kyā gila kiije
jab apne dil pe mujhe iḳhtiyār bhī to nahīñ
ho 'sāqib' aap ko ahl-e-vatan se shikva kyā
ki ḳhāksār ġharīb-ud-dayār bhī to nahīñ
dil-e-hazin ko alam mein qarar bhi to nahin
mizaj-e-yar pe kuchh iKHtiyar bhi to nahin
abhi se dasht-nawardi ki fikr kyon dil ko
chaman mein aane ko fasl-e-bahaar bhi to nahin
main kaise man lun apne ko jaan-nisaron mein
meri wafa ka tumhein eatibar bhi to nahin
hamara shukr teri neamaton ke aage kya
tere karam ka hai koi shumar bhi to nahin
raha ye ghuncha-e-dil na-shagufta misl-e-KHizan
girah-kusha-e-tabiat bahaar bhi to nahin
tumhaare wadon pe ab kis tarah yaqin aae
wafa hua hai kabhi ek bar bhi to nahin
basar kare koi wahshi bhi dasht mein kyunkar
koi daraKHt yahan saya-dar bhi to nahin
ab un ki shan-e-taghaful ka kya gila kije
jab apne dil pe mujhe iKHtiyar bhi to nahin
ho 'saqib' aap ko ahl-e-watan se shikwa kya
ki KHaksar gharib-ud-dayar bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.