Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-hazin pe chaman ki faza ne tanz kiya

Zafar Moradabadi

dil-e-hazin pe chaman ki faza ne tanz kiya

Zafar Moradabadi

MORE BYZafar Moradabadi

    dil-e-hazīñ pe chaman fazā ne tanz kiyā

    mazāq uḌāyā guloñ ne sabā ne tanz kiyā

    paḌā jo vaqt kiyā sharmsār sajdoñ ne

    uThā.e haath to mujh par du'ā ne tanz kiyā

    shikast-e-zīst pe thī hausloñ ḳhanda-zanī

    gumān-e-hastī huā to qazā ne tanz kiyā

    libās hote hue bhī chhupī na 'uryānī

    khilā jo phuul to chāk-e-qabā ne tanz kiyā

    nahīñ ye zulm mile sab se zaḳhm-e-rusvā.ī

    sitam to ye hai ki dard-āshnā ne tanz kiyā

    'ajab ġhurūr-pasandī hai us fitrat meñ

    jahāñ charāġh jalāyā havā ne tanz kiyā

    the zarre zarre meñ raushan hazār ā.īne

    har aa.ine pe tire naqsh-e-pā ne tanz kiyā

    ye sāniha bhī qayāmat se kam nahīñ hai 'zafar'

    ki mujh pe merī shikast-e-anā ne tanz kiyā

    dil-e-hazin pe chaman ki faza ne tanz kiya

    mazaq uDaya gulon ne saba ne tanz kiya

    paDa jo waqt kiya sharmsar sajdon ne

    uThae hath to mujh par du'a ne tanz kiya

    shikast-e-zist pe thi hauslon ki KHanda-zani

    guman-e-hasti hua to qaza ne tanz kiya

    libas hote hue bhi chhupi na 'uryani

    khila jo phul to chaak-e-qaba ne tanz kiya

    nahin ye zulm mile sab se zaKHm-e-ruswai

    sitam to ye hai ki dard-ashna ne tanz kiya

    'ajab ghurur-pasandi hai us ki fitrat mein

    jahan charagh jalaya hawa ne tanz kiya

    the zarre zarre mein raushan hazar aaine

    har aaine pe tere naqsh-e-pa ne tanz kiya

    ye saniha bhi qayamat se kam nahin hai 'zafar'

    ki mujh pe meri shikast-e-ana ne tanz kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now