dil-e-KHarab se ye kaisa intiKHab hua
dil-e-ḳharāb se ye kaisā intiḳhāb huā
ki jāñ-gusil ye tire 'ishq kā 'azāb huā
khaḌe khaḌe to use ham kharī sunā.eñge
hamārā roz-e-qayāmat agar hisāb huā
bikhar ga.ī mire āñgan meñ chāñdnī us kī
vo mah-jabīñ mirī bāñhoñ meñ mahv-e-ḳhvāb huā
hazār-haif vahī rāhzan kā sāthī thā
mire vatan kā muhāfiz bhī be-naqāb huā
kasar ravā na rakhī gulsitāñ ujāḌne meñ
kisī se kam na the jab apnā ehtisāb huā
hai munfarid tirā me'yār-e-fikr-o-fan 'jogī'
tirī ġhazal kā har ik she'r lā-javāb huā
dil-e-KHarab se ye kaisa intiKHab hua
ki jaan-gusil ye tere 'ishq ka 'azab hua
khaDe khaDe to use hum khari sunaenge
hamara roz-e-qayamat agar hisab hua
bikhar gai mere aangan mein chandni us ki
wo mah-jabin meri banhon mein mahw-e-KHwab hua
hazar-haif wahi rahzan ka sathi tha
mere watan ka muhafiz bhi be-naqab hua
kasar rawa na rakhi gulsitan ujaDne mein
kisi se kam na the jab apna ehtisab hua
hai munfarid tera me'yar-e-fikr-o-fan 'jogi'
teri ghazal ka har ek she'r la-jawab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.