dil-e-muztar mein jalti ek hasrat aur rakhni hai
dil-e-muztar meñ jaltī ek hasrat aur rakhnī hai
mujhe tāq-e-junūñ meñ ik mohabbat aur rakhnī hai
garebāñ chaak hai garche mujhe kuchh aur karnā hai
ki ab in vahshatoñ meñ ek vahshat aur rakhnī hai
ḳhatīb-e-vaqt ne sikhlā diyā ye ahl-e-duniyā ko
ḳhitābat aur rakhnī hai adāvat aur rakhnī hai
koī bhī vārdāt-e-qalb-o-jāñ zāhir nahīñ karnī
mujhe ab intiqāman apnī hālat aur rakhnī hai
tavāf-e-shahr-e-jānāñ se agar 'sajjād' fursat ho
thake pairoñ ke nīche ik masāfat aur rakhnī hai
dil-e-muztar mein jalti ek hasrat aur rakhni hai
mujhe taq-e-junun mein ek mohabbat aur rakhni hai
gareban chaak hai garche mujhe kuchh aur karna hai
ki ab in wahshaton mein ek wahshat aur rakhni hai
KHatib-e-waqt ne sikhla diya ye ahl-e-duniya ko
KHitabat aur rakhni hai adawat aur rakhni hai
koi bhi wardat-e-qalb-o-jaan zahir nahin karni
mujhe ab intiqaman apni haalat aur rakhni hai
tawaf-e-shahr-e-jaanan se agar 'sajjad' fursat ho
thake pairon ke niche ek masafat aur rakhni hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 567)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.