dil-e-muztar pe ab unki inayat hoti jati hai
dil-e-muztar pe ab un kī 'ināyat hotī jaatī hai
kabhī thī jis se nafrat us se ulfat hotī jaatī hai
zamāna ho gayā tark-e-mohabbat ko magar ab bhī
kisī kī yaad taskīn-e-tabī’at hotī jaatī hai
vo merī 'arz-e-ġham par aaj kuchh sharmā.e jaate haiñ
unheñ apnī jafāoñ par nadāmat hotī jaatī hai
tumhāre ruuTh jaane se maiñ yuuñ mahsūs kartā huuñ
zamāne bhar ko jaise mujh se nafrat hotī jaatī hai
vo pahlī barhamī ab nāla-e-ġham par nahīñ hotī
ġhurūr-e-husn ko zāhir haqīqat hotī jaatī hai
maiñ apnī avvalīñ laġhzish na bhūlā huuñ na bhūlūñgā
usī kī yaad se mujh ko nadāmat hotī jaatī hai
mire is jazba-e-sādiq kī kuchh to qadr kar zālim
tirī begāngī mujh par qayāmat hotī jaatī hai
koī ai fikr is dīvāngī kī daad kyā degā
shikāyat kartā jaatā huuñ nadāmat hotī jaatī hai
dil-e-muztar pe ab un ki 'inayat hoti jati hai
kabhi thi jis se nafrat us se ulfat hoti jati hai
zamana ho gaya tark-e-mohabbat ko magar ab bhi
kisi ki yaad taskin-e-tabi’at hoti jati hai
wo meri 'arz-e-gham par aaj kuchh sharmae jate hain
unhen apni jafaon par nadamat hoti jati hai
tumhaare ruTh jaane se main yun mahsus karta hun
zamane bhar ko jaise mujh se nafrat hoti jati hai
wo pahli barhami ab nala-e-gham par nahin hoti
ghurur-e-husn ko zahir haqiqat hoti jati hai
main apni awwalin laghzish na bhula hun na bhulunga
usi ki yaad se mujh ko nadamat hoti jati hai
mere is jazba-e-sadiq ki kuchh to qadr kar zalim
teri begangi mujh par qayamat hoti jati hai
koi ai fikr is diwangi ki dad kya dega
shikayat karta jata hun nadamat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.