dil-e-muztar tera nuqsan nahin hone diya
dil-e-muztar tirā nuqsān nahīñ hone diyā
vādī-e-hijr ko vīrān nahīñ hone diyā
ham ne maqtal meñ bhī sar de ke bachāyā us ko
hazrat-e-‘ishq ko qurbān nahīñ hone diyā
kyā huā tujh ko jo Thahrāyā nahīñ hai dil meñ
tū ne bhī to mujhe mehmān nahīñ hone diyā
apnī tazlīl ko itnā hī bahut hai mire dost
jism ko zīnat-e-shamshān nahīñ hone diyā
ruuh ko bech ke ik jism ḳharīdā maiñ ne
mujhe is jism ne be-jān nahīñ hone diyā
chiir kar dil ko tirī yaad se paivand kiyā
hijr ke zaḳhm kā darmān nahīñ hone diyā
us ne dil chāhā so siine ko ḳhudī chaak kiyā
apne dushman ko pareshān nahīñ hone diyā
dil-e-muztar tera nuqsan nahin hone diya
wadi-e-hijr ko viran nahin hone diya
hum ne maqtal mein bhi sar de ke bachaya us ko
hazrat-e-‘ishq ko qurban nahin hone diya
kya hua tujh ko jo Thahraya nahin hai dil mein
tu ne bhi to mujhe mehman nahin hone diya
apni tazlil ko itna hi bahut hai mere dost
jism ko zinat-e-shamshan nahin hone diya
ruh ko bech ke ek jism KHarida main ne
mujhe is jism ne be-jaan nahin hone diya
chir kar dil ko teri yaad se paiwand kiya
hijr ke zaKHm ka darman nahin hone diya
us ne dil chaha so sine ko KHudi chaak kiya
apne dushman ko pareshan nahin hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.