dil-e-muztarib teri dhaDkanon mein ye kis ka aks-e-KHiram hai
dil-e-muztarib teri dhaDkanon mein ye kis ka aks-e-KHiram hai
Aziz Badayuni
MORE BYAziz Badayuni
dil-e-muztarib tirī dhaḌkanoñ meñ ye kis kā aks-e-ḳhirām hai
ki isī ḳhirām pe munhasir mirī zindagī kā nizām hai
isī kashmakash meñ na tai hue ruḳh-o-zulf-e-yār ke marhale
ki harīf-e-dīda-e-muntazir kabhī sub.h hai kabhī shaam hai
mire haal par nigah-e-karam to bajā magar ye karam kahīñ
mirā iztirāb na chhīn le abhī is se aur bhī kaam hai
mah-o-mehr-o-anjum-o-kahkashāñ nahīñ laakh parda-e-darmiyāñ
vo had-e-nigāh se duur hai to jabīñ se ek hī gaam hai
jo 'azīz' hai mirī zindagī to ye mahviyat bhī hai bandagī
ki namāz-e-ishq meñ nāsehā na sujūd hai na salām hai
dil-e-muztarib teri dhaDkanon mein ye kis ka aks-e-KHiram hai
ki isi KHiram pe munhasir meri zindagi ka nizam hai
isi kashmakash mein na tai hue ruKH-o-zulf-e-yar ke marhale
ki harif-e-dida-e-muntazir kabhi subh hai kabhi sham hai
mere haal par nigah-e-karam to baja magar ye karam kahin
mera iztirab na chhin le abhi is se aur bhi kaam hai
mah-o-mehr-o-anjum-o-kahkashan nahin lakh parda-e-darmiyan
wo had-e-nigah se dur hai to jabin se ek hi gam hai
jo 'aziz' hai meri zindagi to ye mahwiyat bhi hai bandagi
ki namaz-e-ishq mein naseha na sujud hai na salam hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 147)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.