dil-e-nadan ye ulfat ka safar hai
dil-e-nādāñ ye ulfat kā safar hai
yahāñ manzil nahīñ bas rahguzar hai
guloñ se baaġh meñ kahtī hai shabnam
bahār-e-zindagī nā-mo'tabar hai
bashar kī zindagī hai ik alāmat
haqīqat meñ ye duniyā kā safar hai
adā-e-kam-nigāhī chhoḌ saaqī
shu.ūr-e-mai-parastāñ josh par hai
ḳhushī par ranj ko tarjīh degā
kisī insān meñ ġhairat agar hai
chaḌhā letā hai jo chehre pe chehra
vahī is daur meñ ahl-e-hunar hai
ḳhabar jis ko nahīñ rahtī hai apnī
vahī terī ḳhabar se bā-ḳhabar hai
'la.īq' itnā to tum bhī jānte ho
zamāne meñ kise kal kī ḳhabar hai
dil-e-nadan ye ulfat ka safar hai
yahan manzil nahin bas rahguzar hai
gulon se bagh mein kahti hai shabnam
bahaar-e-zindagi na-mo'tabar hai
bashar ki zindagi hai ek alamat
haqiqat mein ye duniya ka safar hai
ada-e-kam-nigahi chhoD saqi
shuur-e-mai-parastan josh par hai
KHushi par ranj ko tarjih dega
kisi insan mein ghairat agar hai
chaDha leta hai jo chehre pe chehra
wahi is daur mein ahl-e-hunar hai
KHabar jis ko nahin rahti hai apni
wahi teri KHabar se ba-KHabar hai
'laiq' itna to tum bhi jaante ho
zamane mein kise kal ki KHabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.