dil ek aan us se mulaqat aur hai
dil ek aan us se mulāqāt aur hai
hotī hai sub.h koī ghaḌī raat aur hai
jo dam ki daur-e-jām chale muġhtanim hī jaan
dil koī din ye mausam-e-barsāt aur hai
āshiq huā huuñ maiñ nahīñ taqsīr aur kuchh
gar us pe qatl kījiye to ye baat aur hai
bāġh-e-jahāñ kī sair dilā kar le koī din
qaa.em ye chand roz tilismāt aur hai
hai mujh ko soch dekhiye kyā hove bazm meñ
in añkhḌiyoñ kī vaz.a-e-ishārāt aur hai
siske hai koī taḌpe hai koī dilā na jā
sūrat kuchh us ke kūche meñ haihāt aur hai
do-chār dhauleñ khā ke to mat jaao shaiḳh jī
karnī abhī tumhārī mudārāt aur hai
dil apne jī kī bāteñ na kah us se bazm meñ
ai be-lihāz vaqt-e-hikāyāt aur hai
tabdīl kar ke qāfiya aur ek kah ġhazal
'afsos' go ki kahnī tujhe baat aur hai
dil ek aan us se mulaqat aur hai
hoti hai subh koi ghaDi raat aur hai
jo dam ki daur-e-jam chale mughtanim hi jaan
dil koi din ye mausam-e-barsat aur hai
aashiq hua hun main nahin taqsir aur kuchh
gar us pe qatl kijiye to ye baat aur hai
bagh-e-jahan ki sair dila kar le koi din
qaem ye chand roz tilismat aur hai
hai mujh ko soch dekhiye kya howe bazm mein
in ankhDiyon ki waza-e-ishaaraat aur hai
siske hai koi taDpe hai koi dila na ja
surat kuchh us ke kuche mein haihat aur hai
do-chaar dhaulen kha ke to mat jao shaiKH ji
karni abhi tumhaari mudaraat aur hai
dil apne ji ki baaten na kah us se bazm mein
ai be-lihaz waqt-e-hikayat aur hai
tabdil kar ke qafiya aur ek kah ghazal
'afsos' go ki kahni tujhe baat aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.