dil-figaron ki tarah qismat ki heTi dopahar
dil-figāroñ kī tarah qismat kī heTī dopahar
ek din bhī sukh ke saa.e meñ na leTī dopahar
log ḳhas-ḳhānoñ meñ cōler kī havā lete rahe
ham ne chādar kī tarah tan par lapeTī dopahar
jā-ba-jā us ko bichhā kar dhuup to chaltī banī
shaam ne aa kar ba-sad-mushkil sameTī dopahar
chhā ga.e bādal tirī zulf-e-pareshāñ kī tarah
shām-e-ġham meñ Dhal ga.ī ho kar saleTī dopahar
dil-figaron ki tarah qismat ki heTi dopahar
ek din bhi sukh ke sae mein na leTi dopahar
log KHas-KHanon mein cooler ki hawa lete rahe
hum ne chadar ki tarah tan par lapeTi dopahar
ja-ba-ja us ko bichha kar dhup to chalti bani
sham ne aa kar ba-sad-mushkil sameTi dopahar
chha gae baadal teri zulf-e-pareshan ki tarah
sham-e-gham mein Dhal gai ho kar saleTi dopahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.