dil gham ke liye mazra-e-zarKHez bahut hai
dil ġham ke liye mazra'-e-zarḳhez bahut hai
aur dasht-e-junūñ hai ki ġham-añgez bahut hai
ham barg-e-ḳhizāñ-dīda koī DhūñD bhī laa.eñ
lekin ye zamāne kī havā tez bahut hai
pāband-e-vafā hai ki chhalakne se hai maane
paimāna-e-jāñ varna to labrez bahut hai
kyā tarz-e-takallum se hameñ us ke sarokār
andāz-e-taḳhātub hī dil-āvez bahut hai
is āhu-e-ram-ḳhurda se mushkil hai rah-o-rasm
vo shahr ke logoñ meñ kam-āmez bahut hai
ai sub.h sitāroñ kī tajallī meñ nazar aa
hangām-e-shabāb ab to sahar-ḳhez bahut hai
kuchh ham bhī 'kafīl' aise takalluf se gurezāñ
kuchh un ko bhī yuuñ ādat-e-parhez bahut hai
dil gham ke liye mazra'-e-zarKHez bahut hai
aur dasht-e-junun hai ki gham-angez bahut hai
hum barg-e-KHizan-dida koi DhunD bhi laen
lekin ye zamane ki hawa tez bahut hai
paband-e-wafa hai ki chhalakne se hai mane
paimana-e-jaan warna to labrez bahut hai
kya tarz-e-takallum se hamein us ke sarokar
andaz-e-taKHatub hi dil-awez bahut hai
is aahu-e-ram-KHurda se mushkil hai rah-o-rasm
wo shahr ke logon mein kam-amez bahut hai
ai subh sitaron ki tajalli mein nazar aa
hangam-e-shabab ab to sahar-KHez bahut hai
kuchh hum bhi 'kafil' aise takalluf se gurezan
kuchh un ko bhi yun aadat-e-parhez bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.