dil ghamon mein KHushi ka maskan hai
dil ġhamoñ meñ ḳhushī kā maskan hai
āñdhiy.oñ meñ charāġh raushan hai
bhuul kar e'tibār mat karnā
shakl meñ rahnumā ke rahzan hai
ham musībat meñ āzmā.eñge
dost hai kaun kaun dushman hai
vo ho giitā ki bible qur.āñ
har sahīfa usī kā darpan hai
jab se badle ho rut nahīñ badlī
merī āñkhoñ meñ ab bhī sāvan hai
sab ke talvoñ meñ zaḳhm haiñ 'ambar'
rahnumā apnā gul-ba-dāman hai
dil ghamon mein KHushi ka maskan hai
aandhiyon mein charagh raushan hai
bhul kar e'tibar mat karna
shakl mein rahnuma ke rahzan hai
hum musibat mein aazmaenge
dost hai kaun kaun dushman hai
wo ho gita ki bible quran
har sahifa usi ka darpan hai
jab se badle ho rut nahin badli
meri aankhon mein ab bhi sawan hai
sab ke talwon mein zaKHm hain 'ambar'
rahnuma apna gul-ba-daman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.