dil gulu-basta-e-bala nikla
dil gulū-basta-e-balā niklā
khol zulfeñ ki dam mirā niklā
tum bhale ġhair bhī bhalā niklā
bandagī banda gar burā niklā
kahīñ be-vaj.h thī pareshānī
zulf se dil kā silsila niklā
dil-o-jāñ-o-jigar qarār-o-shakeb
ek bhī to na kaam kā niklā
rashk-e-dushman to koī baat nahīñ
ḳhair banda hī bevafā niklā
nā-tavānī meñ saḳht-jānī haa.e
zo.af bhī tāqat-āzmā niklā
tere kūche meñ naqsh-e-pā kī tarah
miT gayā maiñ jo koī aa niklā
yaañ kise hai dimāġh-e-nik.hat-e-gul
dam mirā jumbish-e-sabā niklā
āḳhir aa.e mirī ayādat ko
dard-e-dil ḳhuub jāñ-fazā niklā
zaḳhm-e-dil par zarā namak chiḌko
phir bhar aaya to kyā maza niklā
but-parastī koī gunāh nahīñ
maiñ agar banda-e-ḳhudā niklā
mar ga.e ibtidā-e-ishq meñ ham
āsmāñ kā na hausla niklā
kyā karūñ is kā kuchh ilaaj nahīñ
ġhair bhī dard-āshnā niklā
'sho.ala' pahlū meñ kuchh to jhagḌā hai
dil-e-betāb kyoñ ḳhafā niklā
dil gulu-basta-e-bala nikla
khol zulfen ki dam mera nikla
tum bhale ghair bhi bhala nikla
bandagi banda gar bura nikla
kahin be-wajh thi pareshani
zulf se dil ka silsila nikla
dil-o-jaan-o-jigar qarar-o-shakeb
ek bhi to na kaam ka nikla
rashk-e-dushman to koi baat nahin
KHair banda hi bewafa nikla
na-tawani mein saKHt-jaani hae
zoaf bhi taqat-azma nikla
tere kuche mein naqsh-e-pa ki tarah
miT gaya main jo koi aa nikla
yan kise hai dimagh-e-nikhat-e-gul
dam mera jumbish-e-saba nikla
aaKHir aae meri ayaadat ko
dard-e-dil KHub jaan-faza nikla
zaKHm-e-dil par zara namak chiDko
phir bhar aaya to kya maza nikla
but-parasti koi gunah nahin
main agar banda-e-KHuda nikla
mar gae ibtida-e-ishq mein hum
aasman ka na hausla nikla
kya karun is ka kuchh ilaj nahin
ghair bhi dard-ashna nikla
'shoala' pahlu mein kuchh to jhagDa hai
dil-e-betab kyon KHafa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.