dil hai chahe use ja-ba-ja dekhna
dil hai chāhe use jā-ba-jā dekhnā
dekhnā us kā misl-e-davā dekhnā
vaar kartā hai sīdhā ye dil par mire
yuuñ palaT kar ai zālim tirā dekhnā
merī 'ādat meñ shāmil huā jab se vo
paḌ rahā hai use bārhā dekhnā
koī us dil-rubā kī bhī laa.e ḳhabar
dil hai chāhe jise barmalā dekhnā
hosh gum ho gayā dekh kar jab use
phir palaT kar use aur kyā dekhnā
ek pal ke sukūñ ko taras jāoge
chāhte ho mujhe kyoñ judā dekhnā
paar kar le tū pahle sitam kī hadeñ
zabt 'shamshād' phir tū mirā dekhnā
dil hai chahe use ja-ba-ja dekhna
dekhna us ka misl-e-dawa dekhna
war karta hai sidha ye dil par mere
yun palaT kar ai zalim tera dekhna
meri 'adat mein shamil hua jab se wo
paD raha hai use barha dekhna
koi us dil-ruba ki bhi lae KHabar
dil hai chahe jise barmala dekhna
hosh gum ho gaya dekh kar jab use
phir palaT kar use aur kya dekhna
ek pal ke sukun ko taras jaoge
chahte ho mujhe kyon juda dekhna
par kar le tu pahle sitam ki haden
zabt 'shamshad' phir tu mera dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.