dil hai harif partaw-e-husn-e-shabab ka
dil hai harīf partav-e-husn-e-shabāb kā
zarra banā huā hai javāb āftāb kā
phir zikr aa gayā hai azāb-o-savāb kā
laanā uThā ke vo mirā sāġhar sharāb kā
har vahm be-sabāt hai har mudda.ā ḳhayāl
ya.anī ye zindagī nahīñ aalam hai ḳhvāb kā
muusā samajh rahe the tajallī kī jis ko mauj
gosha sarak gayā thā kisī kī naqāb kā
vo haiñ ki chaak kar bhī chuke arz-e-shauq ko
maiñ huuñ ki muntazir huuñ abhī tak javāb kā
'maḳhmūr' koī bhī nazar aatā nahīñ hasīñ
allah re hausla nigah-e-bāryāb kā
dil hai harif partaw-e-husn-e-shabab ka
zarra bana hua hai jawab aaftab ka
phir zikr aa gaya hai azab-o-sawab ka
lana uTha ke wo mera saghar sharab ka
har wahm be-sabaat hai har muddaa KHayal
yani ye zindagi nahin aalam hai KHwab ka
musa samajh rahe the tajalli ki jis ko mauj
gosha sarak gaya tha kisi ki naqab ka
wo hain ki chaak kar bhi chuke arz-e-shauq ko
main hun ki muntazir hun abhi tak jawab ka
'maKHmur' koi bhi nazar aata nahin hasin
allah re hausla nigah-e-baryab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.