dil hai kisi ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein kya
dil hai kisi ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein kya
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
dil hai kisī kī zulf-e-shikan-dar-shikan meñ kyā
'akbar' ulajh rahe ho tum ab har suḳhan meñ kyā
sābit huā ye shahr-e-ḳhamoshāñ kī sair se
aatī hai niiñd chain se apne vatan meñ kyā
ġhurbat meñ us taraf kī na aa.ī kabhī havā
bū-e-vafā bhī ab nahīñ ahl-e-vatan meñ kyā
jo raushnī hai is meñ vo rūh-e-ravāñ kī hai
jab ye nahīñ to phir hai añdhere badan meñ kyā
bū ho ke kū-e-yār meñ jā pahuñchī merī na.ash
kyā jaane DhūñDhte haiñ farishte kafan meñ kyā
kyoñ chūmte haiñ us ko nakīrain bār-bār
naam us kā hai likhā huā mere kafan meñ kyā
poshāk jald laao ki ham ġhusl kar chuke
ahbāb kar rahe haiñ takalluf kafan meñ kyā
miTTī ke itr se hai basāyā mirā libās
ab is se baḌh ke hogā takalluf kafan meñ kyā
dil hai kisi ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein kya
'akbar' ulajh rahe ho tum ab har suKHan mein kya
sabit hua ye shahr-e-KHamoshan ki sair se
aati hai nind chain se apne watan mein kya
ghurbat mein us taraf ki na aai kabhi hawa
bu-e-wafa bhi ab nahin ahl-e-watan mein kya
jo raushni hai is mein wo ruh-e-rawan ki hai
jab ye nahin to phir hai andhere badan mein kya
bu ho ke ku-e-yar mein ja pahunchi meri nash
kya jaane DhunDhte hain farishte kafan mein kya
kyon chumte hain us ko nakirain bar-bar
nam us ka hai likha hua mere kafan mein kya
poshak jald lao ki hum ghusl kar chuke
ahbab kar rahe hain takalluf kafan mein kya
miTTi ke itr se hai basaya mera libas
ab is se baDh ke hoga takalluf kafan mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.