dil hai kyon itna pareshan mujhe malum nahin
dil hai kyoñ itnā pareshāñ mujhe mālūm nahīñ
kaun hai silsila-jumbāñ mujhe mālūm nahīñ
ab ye allāh hī jaane vo ḳhizāñ thī ki bahār
kab huā chaak garebāñ mujhe mālūm nahīñ
mujh ko mālūm hai har dard kā darmāñ lekin
apne hī dard kā darmāñ mujhe mālūm nahīñ
muskurātā huuñ musībat meñ ye aadat hai mirī
zabt mushkil hai ki āsāñ mujhe mālūm nahīñ
phuul ban jaane ko yā nazr-e-ḳhizāñ hone ko
kis liye khiltī haiñ kaliyāñ mujhe mālūm nahīñ
un kī marzī ho to ik aah se āġhāz karūñ
abhī afsāne kā unvāñ mujhe mālūm nahīñ
yuuñ nasheman meñ huuñ jis tarah qafas meñ ho koī
abhī ā.īn-e-gulistāñ mujhe mālūm nahīñ
jāntā huuñ mire dil meñ bhī kuchh armāñ haiñ 'sa.īd'
kaise bar aate haiñ armāñ mujhe mālūm nahīñ
dil hai kyon itna pareshan mujhe malum nahin
kaun hai silsila-jumban mujhe malum nahin
ab ye allah hi jaane wo KHizan thi ki bahaar
kab hua chaak gareban mujhe malum nahin
mujh ko malum hai har dard ka darman lekin
apne hi dard ka darman mujhe malum nahin
muskuraata hun musibat mein ye aadat hai meri
zabt mushkil hai ki aasan mujhe malum nahin
phul ban jaane ko ya nazr-e-KHizan hone ko
kis liye khilti hain kaliyan mujhe malum nahin
un ki marzi ho to ek aah se aaghaz karun
abhi afsane ka unwan mujhe malum nahin
yun nasheman mein hun jis tarah qafas mein ho koi
abhi aain-e-gulistan mujhe malum nahin
jaanta hun mere dil mein bhi kuchh arman hain 'said'
kaise bar aate hain arman mujhe malum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.