dil hai mera charagh tera gham hai raushni
dil hai mirā charāġh tirā ġham hai raushnī
maiñ phir bhī kah rahā huuñ bahut kam hai raushnī
pyāse ko āb-e-dīd nahīñ zindagī se kam
tishna koī nazar meñ ho zamzam hai raushnī
itnā qarīb-e-jāñ ho ki mahsūs kar sakūñ
maiñ kam-nazar huuñ aur bahut kam hai raushnī
hamrāh jā rahā hai mire āftāb bhī
is raushnī ke saath koī dam hai raushnī
lipTī huī ho kohr meñ jaise kiran kiran
ye kaun ro rahā hai ki pur-nam hai raushnī
maiñ ne vo ḳhvāb-gāh bhī dekhī nasīb se
sūraj tavāf meñ hai jahāñ ḳham hai raushnī
'tāhir' abhī to hijr kī guzrī hai pahlī raat
be-sudh charāġh haiñ sabhī be-dam hai raushnī
dil hai mera charagh tera gham hai raushni
main phir bhi kah raha hun bahut kam hai raushni
pyase ko aab-e-did nahin zindagi se kam
tishna koi nazar mein ho zamzam hai raushni
itna qarib-e-jaan ho ki mahsus kar sakun
main kam-nazar hun aur bahut kam hai raushni
hamrah ja raha hai mere aaftab bhi
is raushni ke sath koi dam hai raushni
lipTi hui ho kohr mein jaise kiran kiran
ye kaun ro raha hai ki pur-nam hai raushni
main ne wo KHwab-gah bhi dekhi nasib se
suraj tawaf mein hai jahan KHam hai raushni
'tahir' abhi to hijr ki guzri hai pahli raat
be-sudh charagh hain sabhi be-dam hai raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.