dil hai tumhaari yaad ki duniya liye hue
dil hai tumhārī yaad kī duniyā liye hue
maiñ bhī huuñ ek husn-e-sarāpā liye hue
mujh ko kiyā tabāh tire iltifāt ne
ye raushnī thī kitnā añdherā liye hue
vo kaash ek baar ḳhudā ko pukārte
Duube jo nāḳhudā kā sahārā liye hue
ai ḳhāmushī guzar bhī had-e-ehtiyāt se
muddat huī hai naam kisī kā liye hue
ab zindagī na khā.egī koī nayā fareb
ab dil nahīñ kisī kī tamannā liye hue
aa.e agar bahār chaman meñ to ḳhush na ho
jā.egī rañg-o-bū kā janāza liye hue
dil meñ hai bazm-e-husn bhī firdaus-e-ishq bhī
hai ik lahū kī buuñd bhī kyā kyā liye hue
kuchh aise ġham-zada bhī haiñ duniyā meñ ai 'ḳhalish'
rote haiñ jo hañsī kā sahārā liye hue
dil hai tumhaari yaad ki duniya liye hue
main bhi hun ek husn-e-sarapa liye hue
mujh ko kiya tabah tere iltifat ne
ye raushni thi kitna andhera liye hue
wo kash ek bar KHuda ko pukarte
Dube jo naKHuda ka sahaara liye hue
ai KHamushi guzar bhi had-e-ehtiyat se
muddat hui hai nam kisi ka liye hue
ab zindagi na khaegi koi naya fareb
ab dil nahin kisi ki tamanna liye hue
aae agar bahaar chaman mein to KHush na ho
jaegi rang-o-bu ka janaza liye hue
dil mein hai bazm-e-husn bhi firdaus-e-ishq bhi
hai ek lahu ki bund bhi kya kya liye hue
kuchh aise gham-zada bhi hain duniya mein ai 'KHalish'
rote hain jo hansi ka sahaara liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.