dil hai unki tajalliyat mein gum
dil hai un kī tajalliyāt meñ gum
husn-e-yazdāñ kī kā.enāt meñ gum
donoñ 'ālam haiñ hairatī jis ke
vo haqīqat hai terī zaat meñ gum
mil hī jā.eñge ek duuje ko
donoñ haiñ ek kā.enāt meñ gum
zulf bikhrī hai rū-e-tābāñ par
raat din meñ to din hai raat meñ gum
un kā aanā thā bas sar-e-bālīñ
maut hone lagī hayāt meñ gum
shaiḳh sāhab ke kyā rukū'-o-sujūd
vo to haiñ varta-e-najāt meñ gum
kaise mumkin bhalā judā.ī ho
maiñ huuñ us meñ vo merī zaat meñ gum
chhoḌ kar ik jahān-e-ne'mat ko
'sā’dī' un kī navāzishāt meñ gum
dil hai un ki tajalliyat mein gum
husn-e-yazdan ki kaenat mein gum
donon 'alam hain hairati jis ke
wo haqiqat hai teri zat mein gum
mil hi jaenge ek duje ko
donon hain ek kaenat mein gum
zulf bikhri hai ru-e-taban par
raat din mein to din hai raat mein gum
un ka aana tha bas sar-e-baalin
maut hone lagi hayat mein gum
shaiKH sahab ke kya ruku'-o-sujud
wo to hain warta-e-najat mein gum
kaise mumkin bhala judai ho
main hun us mein wo meri zat mein gum
chhoD kar ek jahan-e-ne'mat ko
'sa’di' un ki nawazishat mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.