dil hi ada kare to kare dil ke wajibaat
dil hī adā kare to kare dil ke vājibāt
āñkhoñ se tai na hoñge diloñ ke muāmlāt
mahrūmiyoñ ne dil kī tamannā.eñ chhīn liiñ
bachchoñ ne karne chhoḌ diye haiñ mutālibāt
go zindagī guzār rahe haiñ sabhī magar
hāsil kisī-kisī ko haiñ is ke lavāzimāt
logoñ ne apnī zaat se mansūb kar liye
maiñ ne raqam kiye the faqat apne vāqi.āt
bār-e-ġham-e-hayāt vahī kā vahī rahā
ham ne ghaTā ke dekh liiñ apnī zarūriyāt
āñkhoñ ke rāste kabhī mahmūd ban ke aa
muddat se muntazir hai mire dil kā somnāt
logo tumhāre husn-e-muravvat ko kyā huā
mīzān-e-zar meñ taul rahe ho ta.alluqāt
anjām ek sā hai vo 'nusrat' ho yā ki 'mīr'
zarre ko hai sabāt na ḳhurshīd ko sabāt
dil hi ada kare to kare dil ke wajibaat
aankhon se tai na honge dilon ke muamlat
mahrumiyon ne dil ki tamannaen chhin lin
bachchon ne karne chhoD diye hain mutalibaat
go zindagi guzar rahe hain sabhi magar
hasil kisi-kisi ko hain is ke lawazimat
logon ne apni zat se mansub kar liye
main ne raqam kiye the faqat apne waqiat
bar-e-gham-e-hayat wahi ka wahi raha
hum ne ghaTa ke dekh lin apni zaruriyat
aankhon ke raste kabhi mahmud ban ke aa
muddat se muntazir hai mere dil ka somnat
logo tumhaare husn-e-murawwat ko kya hua
mizan-e-zar mein taul rahe ho talluqat
anjam ek sa hai wo 'nusrat' ho ya ki 'mir'
zarre ko hai sabaat na KHurshid ko sabaat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.