dil hi tha bas mein na wo rashk-e-qamar aaj ki raat
dil hi tha bas mein na wo rashk-e-qamar aaj ki raat
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
dil hī thā bas meñ na vo rashk-e-qamar aaj kī raat
kuchh ajab Dhang se kī ham ne sahar aaj kī raat
va.ada-e-vasl se bhī kal to tasallī dil ko
aaj inkār hai kyūñ-kar ho basar aaj kī raat
tere bīmār ko har roz ta.ab thā lekin
us ke muñh par hai ayaañ rang-e-digar aaj kī raat
rāhat-e-ḳhvāb nahīñ hai jo ham-āġhoshī meñ
siine par shauq se rakh lījiye sar aaj kī raat
ro.uuñ kyā chashm ko ham-sā.e mujhe rote haiñ
sail-e-girya ne na chhoḌā koī ghar aaj kī raat
naqd-e-dil nazr karūñ māya-e-jāñ bhī de duuñ
un ke aane kī jo de koī ḳhabar aaj kī raat
un ke aane meñ na ho jaa.e kahīñ ye bhī uzr
tham ke ro ek zarā dīda-e-tar aaj kī raat
dekh luuñ sub.h ko kyā hotī hai dil ko rāhat
mujh ko jiine de tū ai soz-e-jigar aaj kī raat
ham na kahte the 'zakī' ishq na kiijo nādāñ
hai vahī hijr-e-sanam pesh-e-nazar aaj kī raat
dil hi tha bas mein na wo rashk-e-qamar aaj ki raat
kuchh ajab Dhang se ki hum ne sahar aaj ki raat
wada-e-wasl se bhi kal to tasalli dil ko
aaj inkar hai kyun-kar ho basar aaj ki raat
tere bimar ko har roz tab tha lekin
us ke munh par hai ayan rang-e-digar aaj ki raat
rahat-e-KHwab nahin hai jo ham-aghoshi mein
sine par shauq se rakh lijiye sar aaj ki raat
roun kya chashm ko ham-sae mujhe rote hain
sail-e-girya ne na chhoDa koi ghar aaj ki raat
naqd-e-dil nazr karun maya-e-jaan bhi de dun
un ke aane ki jo de koi KHabar aaj ki raat
un ke aane mein na ho jae kahin ye bhi uzr
tham ke ro ek zara dida-e-tar aaj ki raat
dekh lun subh ko kya hoti hai dil ko rahat
mujh ko jine de tu ai soz-e-jigar aaj ki raat
hum na kahte the 'zaki' ishq na kijo nadan
hai wahi hijr-e-sanam pesh-e-nazar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.