dil ho gaya udas to bahlane aa gae
dil ho gayā udaas to bahlāne aa ga.e
ai sham.a tere kūche meñ parvāne aa ga.e
jaib-o-garebāñ chaak haiñ dāman hai taar taar
dasht-e-junūñ meñ shaan se dīvāne aa ga.e
dāman hamārā aaj bhī kāñToñ se bhar gayā
gulshan ke rāste meñ bhī vīrāne aa ga.e
aate hī rahguzār-e-junūñ meñ maqām-e-hosh
dīvāne ahl-e-hosh ko samjhāne aa ga.e
'shabnam' the ajnabī se hamīñ un kī bazm meñ
un kī nazar kahe thī ki begāne aa ga.e
dil ho gaya udas to bahlane aa gae
ai shama tere kuche mein parwane aa gae
jaib-o-gareban chaak hain daman hai tar tar
dasht-e-junun mein shan se diwane aa gae
daman hamara aaj bhi kanTon se bhar gaya
gulshan ke raste mein bhi virane aa gae
aate hi rahguzar-e-junun mein maqam-e-hosh
diwane ahl-e-hosh ko samjhane aa gae
'shabnam' the ajnabi se hamin un ki bazm mein
un ki nazar kahe thi ki begane aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.