dil ho thakan se chur sahaara kahin na ho
dil ho thakan se chuur sahārā kahīñ na ho
bhaTkeñ to duur duur ishāra kahīñ na ho
rū-e-zamīñ pe ho na shaboñ ko koī charāġh
dast-e-falak pe koī sitāra kahīñ na ho
khultā na ho ki kis ne bulāyā hameñ yahāñ
bas anjuman ho anjuman-ārā kahīñ na ho
vus'at bhī ek chiiz hai ye bhī burī nahīñ
lekin na is qadar ki kināra kahīñ na ho
chashmak sī barq kī hai guzartā huā ḳhayāl
ik baar har kahīñ ho dubāra kahīñ na ho
ab tum kahīñ milo to kareñ mil ke us ko yaad
jo vaqt ham ne saath guzārā kahīñ na ho
'ḳhurshīd' mere dil ko sunā apnā dard-e-dil
tū ne agar ye bojh utārā kahīñ na ho
dil ho thakan se chur sahaara kahin na ho
bhaTken to dur dur ishaara kahin na ho
ru-e-zamin pe ho na shabon ko koi charagh
dast-e-falak pe koi sitara kahin na ho
khulta na ho ki kis ne bulaya hamein yahan
bas anjuman ho anjuman-ara kahin na ho
wus'at bhi ek chiz hai ye bhi buri nahin
lekin na is qadar ki kinara kahin na ho
chashmak si barq ki hai guzarta hua KHayal
ek bar har kahin ho dubara kahin na ho
ab tum kahin milo to karen mil ke us ko yaad
jo waqt hum ne sath guzara kahin na ho
'KHurshid' mere dil ko suna apna dard-e-dil
tu ne agar ye bojh utara kahin na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.